Bachpan

2 views

Lyrics

Yeh wo jagah hai jis par kabhi
 Khailay thay hum tum
 Mil kar sabhi
 Beeti hoi unn yadon mai
 Pyaari pyaari unn baaton mai
 Dhoondhoon tujhe har taraf
 Dhoondhoon tujhe apna khwabon mai
 Yaadon mai tu
 Yaadon mai tu
 Yaadon mai tu
 Yaadon mai tu
 Masoom sae hum khushion bharay
 Inn titliyon kae sung urtay chalay
 Jaanay kahan yeh sab kho gaey
 Ub yeh dua hai
 Yoon he rahain hum
 Mil kar sabhi
 Chutay na ub yeh
 Saath kabhi
 Iss dosti ki chaoon talay
 Sab mushkilon mai hum saath chalay
 Ik dosray sae khushi sabhi
 Dil yeh kahay (hoOo)
 Yeh wo jagah hai jis par kabhi
 Khailay thay hum tum
 Mil kar sabhi
 Beeti hoi unn yadon mai
 Pyaari pyaari unn baaton mai
 Dhoondhoon tujhe har taraf
 Dhoondhoon tujhe apna khwabon mai
 Sarzameen
 Meri maan ki goad hai mere khwabon ki Sarzameen
 Iss Sarzameen ko choar kae jaana nahi kaheen
 Sabza uga to auj pae parcham khulla kaheen
 Jaaga lahu to ghar ka andhera mita kaheen
 Yeh ghar mere liyay kisi jannat sae kamm nahi
 Iss Sarzameen ko choar kae jaana nahi kaheen
 Sehra diloon mai phool khilaaey teri bahaar
 Bheegi zameen pae khwab ugaaey teri bahaar
 Taabeer jin ki hai mere geeton sae bhi haseen
 Yeh ghar mere liyay kisi jannat sae kam nahi
 Meri maan ki goad hai mere khwabon ki sarzameen
 Iss sarzameen ko choar kae jaana nahi kaheen
 Saltanat
 Aa chaltay hain uss nagri mai
 Jahan panchi urtay rehtay hain
 Parbat sae jharnay behtay hain
 Jahan aankhon mai kuch sapnay hain
 Koi ghair nahi sab apnay hain
 Jahan nadiya pyaar ki behti hai
 Aur meethay suron mai kehti hai
 Yeh basti hai dil ki saltanat
 Yeh basti hai dil ki saltanat
 Aur dil hai hukmaraan
 Iss dil ki banjar dharti par
 Aik nafrat ugti rehti hai
 Aik aas sulagti rehti hai
 Koi chupkay sae aajaiga
 Aur apna mujhe banaeyga
 Mera haath wo haath mai thaamay ga
 Uss paar mujhe lay jaeyga
 Jahan chaahat ki hai saltanat
 Jahan chaahat ki hai saltanat
 Chaahat hai aasmaan
 Yeh duniya hai aik saltanat
 Yahan sab ka apna raaj hai
 Aik zeher mai dooba samaaj hai
 Yahan rooh tarapti rehti hai
 Kaisay kaisay dukh sehti hai
 Rishtay bus duniyadaari hai
 Aur chaaron taraf ayyaari hai
 O rabba kaisi hai yeh saltanat
 Rabba kaisi hai yeh saltanat
 Aur kaisa hai jahan
 Hai jahan
 Hai jahan

Audio Features

Song Details

Duration
05:13
Key
11
Tempo
128 BPM

Share

More Songs by Kaavish

Albums by Kaavish

Similar Songs